एक घर के मोबाइल नम्बर पर “रॉंग नम्बर” से कॉल आई.. घर की एक औरत ने कॉल रिसीव की तो सामने से किसी अनजान शख्स की आवाज़ सुनकर उसने कहा ‘सॉरी रॉंग नम्बर’ और कॉल डिस्कनेक्ट कर दी.. उधर कॉल करने वाले ने जब आवाज़ सुनी तो वो समझ गया कि ये नम्बर किसी लड़की का है, अब तो कॉल करने वाला लगातार रिडाइल करता रहता है पर वो औरत कॉल रिसीव न करती। फिर मैसेज का सिलसिला शुरू हो गया जानू बात करो न!! मोबाइल क्यूँ रिसीव नहीं करती..? एक बार बात कर लो यार! उस औरत की सास बहुत मक्कार और झगड़ालू थी.. इस वाक़ये के अगले दिन जब मोबाइल की रिंग टोन बजी तो सास ने रिसीव कर लिया.. सामने से उस लड़के की आवाज़ सुनकर वो शॉक्ड रह गई, लड़का बार बार कहता रहा कि जानू! मुझसे बात क्यूँ नहीं कर रही, मेरी बात तो सुनो प्लीज़, तुम्हारी आवाज़ ने मुझे पागल कर दिया है, वगैरह वगैरह… सास ने ख़ामोशी से सुनकर मोबाइल बंद कर दिया जब रात को उसका बेटा घर आया तो उसे अकेले में बुलाकर बहू पर बदचलनी और अंजान लड़के से फोन पर बात करने का इलज़ाम लगाया.. पति ने तुरन्त बीवी को बुलाकर बुरी तरह मारना शुरू...
Featured post
Maut Ka Khauf Story
- Get link
- X
- Other Apps
Shree Ganeshay
Namah:
MAUT KA
KHAUF
SCENE-1
Location- Road (bich jangal me)
Time- Night
Instruments- Jeep ya Van, Daru ki
Bottle, Pistol, Pani ki Bottle, etc.
Artist- Sachin,
Rohit, Akash, Joya, Shalini
(Camera ka frem open hota hai, ek awaj ko follow karte huye
ghane jungal ke bich road ke kinare
khadi jeep ke pass pahuchta hai jaha ek ladki jor jor se chila ke kuch bol rahi
hoti hai,aur wahi gadi ke burnat se dhua nikal raha hota hai.)
Ladki/Shalini- maine pahle hi kaha tha ki Sachin
gadi chalayega to mai nahi jaungi tour pe la ke fasa diya na is ghane jungal me
ab mai ghar kaise jaungi ( aur dar se rone lagti hai)
Akash- (Shalni ko gale se lagate huye) chup
ho ja kuch nahi hoga hum sab ghar pahuch jayenge,
(tabhi rohit hasta hai aur rohit kahta hai)
Rohit- hahahaha OMG kitna darti hai ladki yaar,
Joya- (joya rohit ko chup karate huye) chup
ho jao rohit tumhari tarah sab nahi hote aur ye batao gadi me kya hua hai?
Rohit- good news hai, (sab ek sath bolte
hai kya?) hame yahi pe rat me rukna
padega,
Shalini- (ekdam se chauk ke )kya?? Aur rone lagti hai, (Akash use chup
karata hai)
Sachin- (daru ki bottle hath me liye huye ek
sip marta hai aur kahta hai,) bhaiyo ab ye batao karna kya hai, yahi baithe -baithe
rona hai (shalini ki taraf dekhte huye) ya kuch aur bhi karna hai.
Akash- chalo aage chal ke dekhte hai kahi
kuch mil jaye jisse rat to gujar jaye aur waise bhi itni thand me is ghane
jungal me hum kar bhi kya sakte hai,
Rohit- to ek kaam karte hai, mai aur akash
aage ja ke kuch dekh ke aate hai, jab tak tum teeno yahi gadi me baith ke wait
karo. (tabhi shalini)
Shalini- (akash ko rokte huye) nahi akash tum
nahi jaoge mujhe bahut darr lag raha hai,
(akash shalini ko manane ki kosis karta hai lekin wo nahi
manti)
Rohit- achha thik hai fir tum charo yahi
ruko mai kuch aage dekh ke aata hu, (tabhi joya usse bolti hai )
Joya- nahi rohit tum akele nahi jaoge mai bhi tumhare sath aa
rahi hu.
(rohit aur joya waha se chal dete hai aur baki sab wahi wait
karne lagte hai)
SCENE-2
Location- Road (bich jangal me)
Time- Night
Instruments-
Artist- Rohit, Joya
(bich sunsan road pe joya aur rohit
chalte jate hai, lekin unko kuch nahi milta)
Joya-
are yaar rohit mujhe nahi lagta ki yaha jungal me hame kuch
milne wala hai,
Rohit-
thoda aur aage chal ke dekh lete hai sayad kuch mil jaye. (aur fir dono aage badh
jate hai)
SCENE-3
Location- Road (bich jangal me)
Time- Night
Instruments-
Artist- Akash,
Shalini, Sachin
(sachin jeep
se lag ke daru pi raha hota hai, aur udhar akash ek ped se lag ke shalini ko
dekh raha hota hai, aur shalini sachin ko ajib si nigaho se dekh rahi hoti hai,
aur kuch bolti hai)
Shalini- yaar is duniya me bhi kitne ajib log
hote hai daru pi ke apni zindgi barbad kar lete hai.
Akash- aare yaar tum kyu apna mood kharab kar rahi ho maze lo is
hasin raat ka,
(akash thoda
romantic mood me ye bate bolta hai, shalini akash ki taraf dekhti hai, tabhi
lomdi ki awaj aati hai jungal se aur shalini darr se akash ke gale lag jati hai
aur fir akash use apne baho me jakad leta hai aur fir dono ek dusre ko rok nahi
pate aur fir romance karna suru ho jate hai)
Sachin- (un dono ko dekhte huye) ye sala
akash kahi bhi suru ho jata hai, sala tharki ( bottle ko dekhte huye wo jungal
me andar ki taraf chal deta hai, wo thodi dur aage badhta hai to use aisa lagta
hai jaise uska koi pichha kar raha ho, wo pichhe mud ke dekhta hai, lekin use
koi nahi dikhta to use lagta hai aaj use bahut chadh gayi hai aur fir wo bolta
hai) sala aaj ye ek bottle chadh gayi,( aur fir haste huye wo wahi pe susu
karne lagta hai, tabhi kisi ke jor se chikhne ki awaj aati hai sachin dar ke
pichhe ki or bhagta hai)
CUT TO CUT SCENE
(idhar akash
aur shalini bhi dar jate hai, aur udhar rohit aur joya bhi dar ke gadi ki taraf
bhagte hai, sab gadi ke pas ikathe hote hai, lekin waha sachin nahi hota, sab dar
ke mare sachin ko dhudhne idhar udhar
bhagte hai, akash aur shalini, ek taraf aur rohit aur joya ek taraf ho jate hai
sab sachin ko awaj laga rahe hote hai)
(idhar
sachin jungal me rasta bhatak jata hai, aur dar ke mare kisi ped ke pichhe
chhupne ki kosis karta hai tabhi use lagta hai jaise uske pair me kisi janwar ne kat liya
ho aur sachin waha se bhagta hai aur rasta dhundhta hai fir ek jagah khade
hokar idhar udhar dekhta hai tabhi sachin
ke pichhe se koi usse pakdne ki kosis karta hai, sachin dar se apna pistol uske
uper fire karne ki kosis karta hai lekin wo dekhta hai, ki wo akash hota hai,aur
sath me shalini bhi hoti hai)
Akash- abe tu yaha kya kar raha hai waha tujhe sab dhundh rahe hai,
(sachin darte darte kuch kahne ki kosis karta hai lekin akash bolta hai) sale
isiliye bolta hu jyada mat piya kar nashe me idhar udhar ghumta rahta hai, (aur
uske gale me hath daal kar use le ke chal deta hai unke thik pichhe ek horror
hand ped ke piche chupta hua dikhta hai)
CUT TO CUT SCENE
(sachin,
akash, aur shalini gadi ke pas pahuchte hai idhar rohit aur joya bhi pahuch
jate hai, sab sachin ko bolte hai aur sachin ko gussa aa jata hai,aur bottle
patak ke bolta hai)
Sachin- are nashe me nahi hu yaar mai, mujhe kuch jungal me dikha jiske
piche mai gya tha tum sab meri bat sunane ko razi hi nahi ho.
Akash- achha to tu kya kahna chahta hai ki is jungal me bhoot hai,
achha chal mai bulata hu use oye bhoot kaha ho aao na chalo luka chhipi kyu
khel rahe ho (aur sab hasne lagte hai lekin sachin ki dar se halat kharab rahti
hai aur wo dar se gadi me jake baith jata hai hai)
(sab has
rahe hote hai lekin tabhi akash waha se gayab ho jata hai, sab palat ke
dekhte hai aur fir shalini aur rohit akash ko dhudhne ke liye jungal ki or
bhagte hai aur akash udhar se mazzak karte huye aata hai)
Akash- tum sab dar gye na dar
gaye na tum sab
Shalini- (akash ko pyar se marti hai aur rote huye kahti hai) tumne to
meri jaan hi le li thi
(akash usko
gale se laga leta hai)
(idhar
sachin ke pair me kisi janwar ne kha liya hota hai ye bat sabko bad me pata
chalti hai aur sachin ki tabiyat kharab
hone lagti hai, sab tention me aa jate hai ki ab itni rat ko kaha se help liya
jaye)
(dhire dhire
sachin ki halat kharab hoti jati hai aur
wo ek jungali janwar me badalne lagta hai sab dar jate hai sachin sabko bhagane
ki kosis karta hai aur kahta hai bhaag jao is jungal se nahi to koi zinda nahi bachega, ye sab dekh
shalini bilkul dar jati hai aur akash ko bolti hai sabko chhod ke waha se jane
ke liye tabhi rohit)
Rohit- nahi aisa kaise ho sakta hai sachin
apna dost hai hum ise aisi haalat me kaisse chhod ke ja sakte hai, (rohit ki
bat akash aur shalini nahi mante aur wo waha se bhag lete hai)
SCENE-4
Location- Road (bich jangal me)
Time- Night
Instruments-
Artist- Akash,
Shalini
(idhar akash
aur shalini bhagte bhagte jungal se nikalne ki kosis karte tabhi unhe samne se
kisi janwar ki saya dikhti hai aur ye dar jate hai aur tabhi wo janwar inka
pichha karne lagta hai aur dono jaan bacha kar gadi ki taaraf bhagte hai )
SCENE-5
Location- Road (bich jangal me)
Time- Night
Instruments- Jeep ya Van, Daru ki
Bottle, Pistol, Pani ki Bottle, etc.
Artist- Sachin,
Rohit, Akash, Joya, Shalini, Jungali
janwar
(idhar
sachin ko joya aur rohit le ke baithe hote tabhi samne se akash bhagta hua aata
hai aur awaj lagat hai sab gadi me andar baitho piche se janwar ko aate dekh ye
dono bhi dar jate hai jaise taise wo gadi me baithte hai aur pichhe ka gate
khol ke akash aur shalini ka wait karte hai akash to jaldi aa ke gadi me baith
jata hai lekin shalini ko wo janwar pakad ke le jata hai ye dekh akash dubaara
gadi me se sachin ka pistol le ke nikalta hai aur uska pichha karta hai kelin
tab tak wo janwar shalini ko le ke jungal me ja chukka hota hai, akash wahi
rone lagta hai aur kahta hai)
Akash- are yaar hum ye kaha fas gaye shalini ko meri wajah se jaan
gawani padi , ( tabhi jungal se shalini ki chikhane ki awaze aati hai ye sun
akassh baukhla jata hai aur uth ke jungal ki or jane ki kosis karta aur kahta
hai) shalini mai aa rah hu (lekin rohit use rok leta hai)
Rohit- abe pagal ho gya hai kya kaha ja raha shalini ab nahi aane wali
bas ab apni jaan bachao ( tabhi joya gadi se nikal ke bhagte huye aati hai aur rohit ke piche chhup ke)
Joya- rohit wo dekho (joya
rohit ko gadi ki taraf dikhati hai)
(sab gadi ki or dekhte hai sachin ekdam
jungali janwar ban chukka hota hai, aur inki taraf lapkta hai, lekin rohit
akash se pistol le kar us par firing karne lagta hai jisse sachin wahi gadi ke
pas gir jata hai fir sab jaldi jaldi gadi ke andar baithte hai tabhi akash ka
pair sachin pakad leta hai aur use bahar khichne lagta hai, ye dekh akash apni
jaan bachane ke liye rohit ki help mangta hai, aur rohit uska hath pakdta hai,
lekin)
Rohit- sorry dost hum tujhe apne pass nahi rakh sakte apni jaan khud
bachao good bye (aur rohit gadi ka gate
band kar leta hai ye dekh joya rohit ko bahut bhala bura kahti hai, aur idhar
akash ko sachin ghasit kar jungal me le jata hai)
Rohit- wo chhamak chhallo jyada chillane ki
jarurat nahi hai(pistol dikhate huye )
Joya- mujhe pata hota ki tum
itne swarthi ho ki apni jaan bachane ke liye dusro ki jaan le sakte ho to mai
tumse kabhi pyar nahi karti,
Rohit- hahahaha mai apni jaan bachane ke liye tumhari jaan bhi le
sakta hu, samjhi..
(joya use
ajib si nazro se dekh rahi hoti hai, tabhi jangali janwaro ki awaze aane lagti
hai aur dhire dhre sab janwar road pe aane lagte hai, ye dekh rohit aur joya dar jate hai, aur dhire sabhi janwar
gadi ke aas pass aa jate hai aur gadi pe chadhana suru kar dete hai rohit bahut
dar jata hai aur wo joya ko gadi se bahar dhakka de deta jisse sare janwar joya
ki or lapkane lagte hai jiska fayda uthakar rohit gadi
se bahar nikal jata hai aur akele jungal me bhagne lagta hai,)
SCENE-5
Location- Road (bich jangal me)
Time- Night
Instruments-
Artist- Sachin,
Rohit, Akash, Joya, Shalini, Jungali
janwar
(sunsan jungal me road ke bich rohit
akela bhag raha hota hai, rohit piche dekh ke bhag raha hota hai, tabhi wo kisi
se takrata hai, rohit ki nazar shalini pe padti hai jo ki jungali janwar ban chuki
hoti hai)
Rohit-
shalini mujhe maaf kar do shalini mujhse galti ho gayi,
(shalini kuch nahi sunti wo dhire dhire rohit ki taraf badhti rahti hai wo waha
se piche ki taraf bhagta hai tabhi uski nazar sachin aur akash pe padti hai ,
wo dusri taraf se aa rahe hote hai, rohit tisri taraf bhagta hai waha se joya aati dikhti hai wo
charo taraf se ghir chukka hota hai wo sabse maafi mangta hai gidgidata hai aur
sab uske uper tut padte hai aur fir kuch der tak rohit ki rone chillane ki awaz
aati hai fir awaz shant ho jati sab rohit ko chhod dete hai, jab sab rohit ko
chhod ke hatte hai to rohit bhi jungali janwar ban chuka hota hai fir sab chand
ko dekh ke sar uper kar ke lomdi ki awaj nikalte hai….. hhhhhuuuuuuaaaaa…….
Story and Script by- Sachin mishra
For more story visit on my website:-www.hindipoem.info
- Get link
- X
- Other Apps
Popular posts from this blog
उरी आतंकवादी हमला
"अंधों को दर्पण क्या देना, बहरों को भजन सुनाना क्या.? जो रक्त पान करते उनको, गंगा का नीर पिलाना क्या.?" . "हमने जिनको दो आँखे दीं, वो हमको आँख दिखा बैठे.! हम शांति यज्ञ में लगे रहे, वो श्वेत कबूतर खा बैठे.!" . "वो छल पे छल करता आया, हम अड़े रहे विश्वासों पर.! कितने समझौते थोप दिए, हमने बेटों की लाशों पर.!" "अब लाशें भी यह बोल उठीं, मतअंतर्मन पर घात करो.! "दुश्मन जो भाषा समझ सके, अब उस भाषा में बात करो.!" "वो झाड़ी है, हम बरगद हैं, वो है बबूल हम चन्दन हैं "वो है जमात गीदड़ वाली, हम सिंहों का अभिनन्दन हैं.!" "ऐ पाक तुम्हारी धमकी से, यह धरा,नहीं डरने वाली.! "यह अमर सनातन माटी है, ये कभी नहीं मरने वाली.!" . "तुम भूल गए सन अड़तालिस, पैदा होते ही अकड़े थे.! हम उन कबायली बकरों की गर्दन हाथों से पकडे थे.!" . "तुम भूल गए सन पैसठ को, तुमने पंगा कर डाला था.! छोटे से लाल बहादुर ने तुमको नं...
निर्भया के बलात्कारीअफ़रोज़ की रिहाई परआक्रोश व्यक्त करती कविता
किस भारत पर गौरव कर लूँ, किस भारत की शान कहूँ? किस भारत पर सीना ठोकूं? किसको हिन्दुस्तान कहूँ? गंगा के दामन में हमने ख़ूनी नाले छोड़ दिए, गीता के अध्यायों में,सब काले पन्ने जोड़ दिए, आज खड़ा धरती पर ऊंचे आसमान पर रोता हूँ, शर्म लिए आँखों में अपने संविधान पर रोता हूँ, शर्म करो भारत वालों तुम अपने लिखे विधानों पर, शर्म करो इन्साफ संभाले इन लंगड़े दीवानो पर, शर्म करो तुम पंगू होते अपने इन भुजदंडों पर, शर्म करो लाचार बनाते कानूनी पाखंडों पर, तुमने अपराधी को बालिग़ नाबालिग में बाँट लिया, चीखों की नीलामी कर दी संविधान को चाट लिया, उसको नाबालिग कहते हो, जो वहशत का गोला था, अब साली तू मर जिसने ये रॉड डालकर बोला था, कान फाड़ती चीखों पर भी जो खुलकर मुस्काया था, जिसके सिर पर भूत हवस का बिना रुके मंडराया था, वाह अदालत तूने इन्साफों का दर्पण तोड़ दिया, नर पिशाच को दूध पिलाकर खुल्लम खुल्ला छ...
एक माँ और बेटे की करूणमय कहानी
मैं एक घर के करीब से गुज़र रहा था की अचानक से मुझे उस घर के अंदर से एक बच्चे की रोने की आवाज़ आई। उस बच्चे की आवाज़ में इतना दर्द था कि अंदर जा कर वह बच्चा क्यों रो रहा है, यह मालूम करने से मैं खुद को रोक ना सका। अंदर जा कर मैने देखा कि एक माँ अपने दस साल के बेटे को आहिस्ता से मारती और बच्चे के साथ खुद भी रोने लगती। मैने आगे हो कर पूछा बहनजी आप इस छोटे से बच्चे को क्यों मार रही हो? जब कि आप खुद भी रोती हो। उस ने जवाब दिया भाई साहब इस के पिताजी भगवान को प्यारे हो गए हैं और हम लोग बहुत ही गरीब हैं, उन के जाने के बाद मैं लोगों के घरों में काम करके घर और इस की पढ़ाई का खर्च बामुश्किल उठाती हूँ और यह कमबख्त स्कूल रोज़ाना देर से जाता है और रोज़ाना घर देर से आता है। जाते हुए रास्ते मे कहीं खेल कूद में लग जाता है और पढ़ाई की तरफ ज़रा भी ध्यान नहीं देता है जिस की वजह से रोज़ाना अपनी स्कूल की वर्दी गन्दी कर लेता है। मैने बच्चे और उसकी माँ को जैसे तैसे थोड़ा समझाया और चल दिया। इस घटना को कुछ दिन ही बीते थे की एक दिन सुबह सुबह कुछ काम से मैं सब्जी मंडी गया। तो अचानक मेरी नज़र उसी दस साल के बच...
loading...
Comments
Post a Comment